Sunoo Aisa nahi kartay
November 28th, 2008Safar tanha nai kartay
Suno aisa nahi kartay
Chalo tum raaz ho apna
Tumhain afshan nai kartay
Suno jiska muqaddar ho
Ussay chora nahi kartay
Jissay shaffaf rakhna ho
Ussay maila nai kartay
Jo bass jata hai dharkan mai
Ussay bhoola nahi kartay
Kissi ko dil daitay wa’qt
Bohat soocha nahi kartay
Jo pehlay se hi tanha ho
Ussay tanha nahi kartay
Suno ye yadain sataien ge
Magar roya nahi kartay
Suno tum yaad attay ho
Aur hum soya nahi kartay