Mujhay Zindagi ki Dua na dai

Mujhay Zindagi ki Dua na dai

Mairi Zindagi se bani nahi

Koi zindagi pe karay yaqeen

Mjay Zindagi pe yaqeen nahi

Yeh safar bhi kaisa safar hua

Main kabhi kahen tu kabhi kaheen

Mjhay jiss sanam ki talaash thee

Who milla magar maira nahi

Main wohh baat hoon jo bani nahi

Mujhay Zindagi ki Dua na dai

Mairi Zindagi se bani nahi

Aag ho tu jalne main dair kitani lagti hai

Aag ho tu jalne main dair kitani lagti hai
Barf ke pighalane main dair kitani lagti hai

Chaahe koi ruk jaaye chaahe koi rah jaaye
Qaafiloun ko chalane main dair kitani lagti hai

Chaahe koi jaisaa bhi ham safar ho sadiyoun se
Raastaa badalane main dair kitani lagti hai

Ye tu waqt ke bas main hai ke kitani mohalat de
Warna bakht dhalne main dair kitani lagti hai

Moo’m kaa badan le kar dhuup main nikal aana
Aur phir pighalane main dair kitani lagti hai

Soch ki zaminoun main raaste juda houn tu
Duur jaa nikalane main dair kitani lagti hai